Her roz ki terha mein aaj bhe upnay muqarrara raaasto per tehulta hua jaraha tha

Abhi kuch door he chula tha k raastay mein ussay pera dekha

Ikk khayal aya k uthaaloo ussay magar phir khayal aya k chooro mera kia lena dena

Mein ussay waheen chorr ker chula gaya

Wapsi ka safar hua toe un hi raasto per raat ki tarreki mein waheen say guzra

Meray wehm -o -guman mein bhee yeh khayal na tha k woh ub bhee waha moujood hoga

Bus baydehani mein uss per mera hee payr pera aur mein girtay girtay bucha

Mein ruka aur phir upnay payro say mein nay uss kailay k chilkay ko raastay say hataya

Mei sochnay luga k mein nay akhir kio ussay pehlay na hataya

Yeh zaroori to nahee k joe hamaray raastay ki rukawat na ho woh kisi aur ki afut na ho.

Doorundeshi door k undesho ko door kerdenay ka naam hai

Aankhay undhi nahee hua kerty yeh dil undeh hua kertay hain

Aql hosh -o- hawas mein woh idraak hai joe ghayb ko waqoo-aey say pehlay aya’n kerdey yoon joe nahee hua ussay baya’n kerdey

Fehm- o- irfa’n upnee manzilat-aala mein akhir ko izhar aur batin ko akhbar banadea kerti hai yoon guman ko yaqeen ki kayfiat dey ker yaqeen ko mehkum jaan ker guman ko hee lagaam deydea kerty hai yoon raastay baykhter hojaya kertay hain aur chulnay walay mehfooz hojaya kertay hai .

Yeh aankhay hua kerty hai joe kaheen yaaddasht bunti hain aur kaheen yaaddasht say woh hissar khainchtee hai jis per loag inhisar kerkay nisar hojayakertay hai.

Kubhi ka guman kaheen ka yaqeen hua kerta hai

Yahee wajah hai joe jo guman ko mitaya kertay hai woh yaqeen ko dikhaya kertay hain

Yaqeen ki manzil aitmaad k raasto per hee hua kerty hai joe bilashuba fehm- o- idarak leeaey irfan say jurri hai

Yahee irfan ilm lee-aey woh muarfat hai joe hawas -e- khumsa say baher doorundeshi leeaey woh idrak joe purkhuter raasto mein baykhuter safar ka zamin .

“Ahdinus siratul mutaqeem , Sirat ul lazeena unumta ale him”(Dr Raza)