10981395_871898806187405_1270973981407206634_n

Dunya k her ilm mein hasool kisi na kisi bundish kay hisaar mein hua kerta hai aur yoon mayar-e-taleem uss hisaar say jurree dersgah hua kerti hai

Her manzil aik hud hua kerty hai aur her hud hudood kay hisaar mein aik alug iktiyar joe qadam ki mnind her manzil ko qud aur bundish dety hai Yoon aik aisa dustoor jis k hasool k leeaey aik khaas manzil aur aik khaas ilm derkar hua kerta hai

Shayed yahee waja hai joe her admi her terha ki taleem ko qaid nahee ker paata aur yoon mukhtalif uloom ki soorat nizam-e-taleem janam leta hai jis ka hasool her aik ko mukhtalif simt dey ker alug alug munsab ata kerta hai joe bayherhaal hud leeaey mehdood hua kerta hai

Magar Quran hee who wahid hakeemana kitaab hai jis ki taleem mein goe k hud moujood hai magar mayar mukaarim –e-ikhlaq hai jis mein paymana kusrat-e-maal-o-mataa nahee bulkay perhaiz gari hai

Bilashuba is kitaab kay hakeemana raaz toe faqat wahan ayan hotay hain jahan ahliat sadaqat aur qabliat ameen ho aur yoon wajood taqwa aur rooh perhaizgar ho

aisay k Za Alekul kitaba laa-raiba hudallill-muttaqeen

“Yeh kitaab muttaqeen k leeaey hidayat hai “

Bus muttaqeen hee who sanad hai joe is dersgah mein hakeemana taleem ki pehli aur zaroori seerhi

Yahee wajah hai joe kitaab to sub perhtay hai magar hasool baysanad (Dr Raza)