Tags

, , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,


zarroree  toe nahee k zulm kernay wala hee zalim ho …

 

who mazloom bhee zalim say kum nahee jo zulm ko sehtay sehaty zalim ko phir zulm kernay per mujboor aur uss kay zulm ko  nasoor ki hayseat deyday

 

mera jeena mera zulm sehna hai aur

 

 mera sehna hee tumhaary musalsal  zulm ki wajah

 

 aur yehee wajah hai…. jo zarroorat banakerti hai

 

jis zulm ki wajah  mazloom ki chahat aur shok per mubnee ho

 

  uss zulm mein zalim zulm kernay waala nahee bulkay zulm sehnay waala hai

 

yeh mera shok hai jo tumharay haatho ki nermi say  Upney wajood ki germi  ko  thunda kerta hai

 

(Dr Raza)

 

*******************

 

 

 Meri kia majaal k jisay mera dil chahey….. ussey mein zaban kay  bay lagaam  lafzo k saanchon say daaghdaar kero

 

 Baat yeh hai k !

 

dunya ajaib ghar ki manind hai …..jahan wajood her shey ko uss k naey aur nit naye rung mein dekh ker shushder rehjaata hai

 

kainat ki khoobsoorat tareen khalqat mein aurat he who dil ki taskeen hai …. jo dil ko uss kay asal mushroob yanee muhabbat say aashnaee deti hai ;

 

muhabbat dil ka miljaana nahee bulkay dil ka …..khoobsoorty ki dahleez per fida hojaana hai

 

 mein kio na fida hoon uss khaalqat per jo khaliq ki behtareen takhleeq ki tasweer pesh keray

 

aurat hee khoobsoorty ki intiha aur who hee dil kee chuppey kafiat ka naam hai

 

wohee kainaat ka rung aur wohee hum jaisay mawalio ka bhung hai !

 

shayed yahe wajah hai k Paida kernay waalay nay issay jannat mein bhee hooron say tashbeeh dee

 

meri nazar mein mairay sakoon k peechay aurat hai …..aur  mairay wajood k peechay …..usshe aurat ka aser…… jisay tum zehr kehtay ho aur mein  ussay  saher.

 

(Dr Raza)

 

********************

 

 

jee haan yeh aulaad ka khoobsoorat tohfa hai

 

joe yeh zalim(Aurat ) kay jabr ka tareeqaey kaar  aur uss ki  khhobsoorat  zulfon ka tez dhaar  hatyar hai……  aur yahee uss k hum per istimaal ka shaksaana;

 

 jis k baad aap…… zulm ki her rewayat ko upna  ferz aur  zindagi ko iss ka kerz samjhtay hai ;

 

khoobsoorat hai woh jo Upney  zulm mein piyaar ka woh russ ghoal dey;

 

jiss ka peenay waala her shaam usss zehr aalood khunjer ka intizaar keray;

 

(Dr Raza)

***********************

Such poochoe toe aurat who hassen shahkaar hai jo saath ho to smaaa hai aur sath na ho the aho faghan

 Kia kehna kainat ki uss hassen wadi ka jis mein khilnay waala her phool  us ka aser aur us kay husn ki aqasee keray

Yeh who shahkaar hai jo jaan bhee daidaita  hai aur jub zaroorat perhay toe jaan bhee laylayta hai

Such pooch toe! Aurat  hee mairay dil ki who kayfiat hai jo dil ko dherakney per mujboor kerty hai (Dr Raza)